Thursday, March 27, 2008

ilzaam....


ilzaam hai hum pe ki hum dard ke baarein mein hi likhte hai...
magar ae yaaron aise hi to nagmein aajkal baazaar mein bikte hai...

kore panno pe aaj apni zindagi utaari hai...
yeh soch ke khatam karde is zamaane ki jo kuch udhaari hai....

kaali sihahi (ink) thi, magar lal rang ke cheetein kahin kahin faile se the...
safed panno ke kone kaafin jaghon pe maile se the...

gaur se palat ke dekha, tab samjha...
ki kuch lafzhon se khoon baha tha...

dheere dheere mere lafzhon ne sath chodh diya...
fir meri kalam ne mera hath chodh diyaa...

dard ke sath yeh kaisi bebasi si hai...
jaise mere janaze se kuch sanse kasi si hai...

rahat mile kuch!..baazaar ab bas band hone ko hai...
zindagi ka karobaar shayad ab khatam hone ko hai..