Sunday, September 7, 2008

waqt...

waqt ruka nahin....
zindagi ka kaarwaan ab tak thaaka nahin...

bas kuch pal tham se gaye...
ab kuch naya nahin...
na ab kuch galat hai...naa kuch lage sahi...
saanse chal rahi hai...
dard ka ehsaas de jaati hai...
ki zinda hoon..baar baar keh jaati hai...

meri un kushiyon ka koi ab gawaah nahin...
dekho...tab bhi waqt ruka nahin....
zindagi ka kaarwaan ab tak thaaka nahin...

manzil thi...kho gayee...
raahein...safed chaadar odh ke so gayee...
kaafila logon ka fir bhi aage badha...

bas tera saath rahaa nahin...
dekho...tab bhi waqt ruka nahin....
zindagi ka kaarwaan ab tak thaaka nahin...

pehle beh jaatein the...bin baat ke
dheere dheere kam toh ho gaye...

magar abhi tak shayad baandh sookha nahi...
dekho...tab bhi waqt ruka nahin....
zindagi ka kaarwaan ab tak thaaka nahin...