Thursday, May 28, 2009

.....kahan.......

paero ke talvo pe halki si gudgudee...
nanhe bacche ke pehli woh adkhuli hansi...

gili mitti ki saundhi mehak...
shaam ko chidiyo ki chahak...

sard raato mein ghar ke choolhe ki garmi...
dard mein maa ke hatho ki narmi...

tez dhoop mein baraf gole ki chuski...
daadi se mili athani aur unki chuppi si muski...

doston ke sath raat bhar ki hui baatein....
sardi ke mausam mein moti rajai mein biti hui raatein...

subah subah school ki bus ko bhagte bhagte pakadna....
badi behen se jhooth-mooth ka jhagadna....

woh pehli baar baba se cycle seekte huye girna...
holi ke din sabke sath mahaulle bhar firna...

hmmmm........

kahan gaya sab....dhu-aan sa lagta hai....
raakh ko bachaye huye hai....kab tak....
kaha gaya sab...

5 comments:

abcdefgh said...

kavita thodi time se peeche hai :P

athani mein kisiko kya milega :)

A good one as usual

etherealspace said...

socho agar..woh bi kya din the..jab athani mein kush ho jaate the...:)

abcdefgh said...

meri daadi utna bhi nahin deti thi :( she was like "main tumhari aadat bigaadna nahin chahti. aaj athani di to kal rupaiiya mangoge" :(

Jatin Belani said...

arey kuchh nahin badla, koi din kahin nahin gaye, tum bachpan se bahar to aayi nahin, din kahan jayenge :)

btw, very good memoir, mujhe bhi apna bachpan yaad aa gaya :)

Unknown said...

Nice memoir ..
..and illustration of some of those little moments of joy in life
.. and good to see something different from the regular .. tanhayee, andhera, mayoosi, maiyyat and more morose stuff
..now go ahead and change the background color .. enough of those nisha, andhera, tamas, darkness n blah
way to go gal :)